
Azadaran e Hussain A.S 8 Moharram ul Haram ko Hazrat Abbas A.S ki shahadat ka din manatay hain. Alam uthaye jatay hain aur Pani ki sabeel lagai jati hain. Hazrat Abbas a.s Qamar e Bani Hashim thay jin ko Hazrat Ali a.s nay apni shab ki namazon main Allah say Khas tor per Karbala kay liye manga tha. Hazrat Abbas a.s apnay Walid Hazrat Ali a.s kay sath Siffeen main laray aur bharpoor Hashmi khandan ki jurat aur shujaat ka muzahira kia. Magar Karbala main Imam Hussain a.s nay Hazrat Abbas ko jang ki ijazat na di aur yahi Hazrat Abbas ka aik shakt emtihan tha kay jab Hashmi Khandan kay Chand ko jang say rok dia gaya. Hazrat Abbas a.s Darya e Furat per Pani laynay gaye aur Furat per palak jhapaktay hi qbza lay lia. Chillo main pani bhara magar Piyaas e Imam A.S ko yaad ker kay pani darya kay mu per day mara. Mashk Bhari aur khayam e Hussaini A.S Ki taraf Chal diye. Magar charon taraf say hamlay hoay aur isi hamlay main ap kay dono Bazo kat gaye. Ap Karbala kay wahid shaheed hain kay jab Ap Ghoray say Giray to ap apnay bachao kay liye apnay Hath istamal na karsakay. 8 Moharram UL Haram Shahadat e Hazrat e Abbas Alamdar A.S kay tor per manay jata hai.
Aye Alam Afrashte Bar Sar e Karbobala
Quwat e Bardashte Bar Sar e Karbobala
Kehtay Thay Shah e Umam Bar Sar e Karbobala
Uth Zara Lehra ALam Bar Sar e Karbobala
Ghazi Alam Dar e Man, Ghazi Alam Dar e Man.

Follow Us On Facebook —> Najaf The Heaven